DHADKANE...


dil ki chand dhadkane chupke se kuch gunguna ke chal di,
ik halki si muskaan saja ke chal di...
humne bade naazon se panaah diya inhe,
dil ke kaarvan mein shaamil kiya inhe,
phir bhi zaalim daga deke chal di!!

socha tha humara paigaam leke jaayengi,
haale-dil dilnashi ko sunake jaayengi,
pur ye to khaamoshi ke dhaage se apne hothon ko sil ke chal di,
humpe bewafai ka ilzaam lagake chal di...
zindgi ko apna mohtaaj banaya,
lamhon ko apni muthi mein dabaya,
aur humen apna gulaam banake chal di...

kabhi apni si lagne waali,
aaj ajnabi si kyun hain??
kabhi doston si lagnne waali,
aaj kaafir si kyun hain??
dil ki galiyon mein aaj itna soonapan kyun hai??
har sawal itna aaj laajawab kyun hai??

ye gar tham jaayen,
to kuch der ko to karar aa jaaye,
thaki thaki si zindgi ko aaram aa jaaye,
use ek naya sa naam mil jaaye....
pur zindgi hai ki kambakht inhe chhodti hi nahi!!
har zulm sehti hai pur inse muh modti hi nahi!!

kehti hai, "inke dagabaaz hone ka koi shikwa to nahi,
pur inke bina mera wajood bhi nahi....
ik tarfa aashnaayi hai ye,
kabhi na khatm hone waali dilrubaayi hai ye,
inke dhadkne se to main zinda hoon,
varna maut ka kohra mujhse juda nahi....".

Comments

Popular posts from this blog

Have We Become Productive Machines? The Battle of Productivity and Mental Well-being

Embracing the Odyssey: Revel in Your Journey, Celebrate Your Triumphs

Breaking the Chains: Unraveling the Ties Between Mental Illness and Substance Use for a Healthier Future