ZINDGI KE RANG...



Zindgi hai kuch bolti,
Gehre se kuch raaz hai kholti,
dil mein dafn kar diya tha jinhe,
unhe har saans mein hai tatolti...
gungunati hai chand pyar ke nagme,
gaati hai kuch madhoshi ki gazlen,
rumaani se andaz mein apne,
waqt ki har taal pe jhoomti,
dhadkan ke har taar ko hai chedti...
kya kya rang dikhlaaye hai isne,
kala bhi aur safed bhi,
ab kuch naya sa rang dikhta hai,
sama bhi kuch taza taza sa lagta hai...
mann kehta hai bus thirakte jaayen,
hur armaan ko motiyon se sajaayen,
aur phir jazbaaton ke samandar mein beh jaayen...
aankhon mein ik chamak si hai,
kaano mein ik thirak si hai,
har khwaahish kuch poori si lagti hai..
agar yahi hain zindgi ke rang ,
to in rango mein humen rangne do,
iska har panna rangeen sa karne do,
pyar ke kalam se tasveer bharne do,
humen zindgi se do baatein to karne do....

Comments

HNY by www.igmrinternational.blogspot.com
kavita said…
LOVED THE POEM BUT IT WOULD HAVE TOUCHED ME MORE HAD I READ IT IN DEVNAGRI[HINDI] SCRIPT.

Popular posts from this blog

Have We Become Productive Machines? The Battle of Productivity and Mental Well-being

Embracing the Odyssey: Revel in Your Journey, Celebrate Your Triumphs

Breaking the Chains: Unraveling the Ties Between Mental Illness and Substance Use for a Healthier Future