YAADEIN...
Aaj phir vo guzre saal yaad aaye,
Doston ke saath guzare chand lamhe zahan mein muskuraye….
zindgi ke samander ne bus kuch boonden thi chalkaayi,
phir bhi humne is samander mein kuch kami si thi paayi...
aaj phir vo guzre saal yaad aaye,
doston ke saath guzare chand lamhe zahan mein muskuraye....
vo baat baat pe gila shikwa,
us har shikwe mein pyar tha barsa,
kabhi to har baat ko dil pe lagana,
to kabhi doston ki naadani samajh kar bhool jana,
vo har baar roothna, pur phir maan jana,
vo ek doosre se khushiyaan baantna,
lekin gum mein bhi saath nibhana....
vo raaton ko doston ke saath sair pe jana,
aur subah hote hi apne apne kaamon mein ulajh jana,
phir din bhar ki thakaan ko chai ki chuskiyon se bhagana!!
kabhi to befikr hokar masti mein naachna gaana,
aur kabhi choti choti baaton ki fikr mein doob jana....
vo saath saath galiyon ki khaakh channa,
phir palak jhapakte hi shehar ke ek kone se doosre pe pahunch jana,
aur miljul kar pyari pyari shararatein karna...
vo ek doosre ke liye shauk se khana pakana,
aur phir rookhi sookhi khakar khush ho jana!!!
imtihan ki taiyaari mein din aur raat ka fark bhool jana,
aur phir mehnat rang laane par khushi se uchal jana!!!
vo ghar ki yaad mein aankhen bhar aana,
phir sabr se dil ko samjhana...
vo chuttiyaan shuru hone ki besabri se raah dekhna,
pur phir se doston ko milne ke liye din ginna...
vo ek doosre ko khatti meethi baatein batana,
pur kehkar phir bhool jana!!
Kabhi to ek thake hue khiladi ki tarah haar maan jana,
To kabhi honsle batorke phir se josh mein aana,
Aur aasman ko chune ke khwaab sajana…
aaj phir vo guzre saal yaad aaye,
doston ke saath guzare chand lamhe zahan mein muskuraye....
zindgi to aage chal padi hai magar,
hum reh gaye hain aaj peeche,
in yaadon ke chand tukde batorne...
aaj phir vo guzre saal yaad aaye,
doston ke saath guzare chand lamhe zahan mein muskuraye,
haan vahi guzre saal........
Comments