UMMID... A RAY OF HOPE
ruke ruke se kadam phir se chalne lage,
thami thami si zindgi phir se behne lagi,
dil mein jawan haunsle phir se muskurane lage,
aur ummidon ki gazal gaane lage...
hum to andheron mein kho rahe they,
aur khud ki hasti dubo rahe they magar,
is dil ki biyabaan galiyon mein roshni phir se chaane lagi,
aur manzilen phir se saaf nazar aane lagi....
ab to ummid ke is baag mein,
wardah khil rahe hain,
aur apni khushboo bhi fizaon mein bikher rahe hain...
hum waqt ko hatheli pe liye chal rahe hain,
gir gir ke phir sambhal rahe hain,
magar phir bhi chal rahe hain!!!
na mushkilon se haare, na zindgi se,
seene mein sholey dabaye hounslon ke,
aaftab ko paane nikal pade hain,
haan, hum khud ka ek mukaam banane nikal pade hain...

Comments